aaj mere patrakaritya carrier ke pure 4 saal ho gaye hain. in char saalon me maini bahut kuch sikha. dher saare anubhav liye. professionaly aur personaly, dono. isme 1 baat saf ho gai ki dunia aap ke mutabik hi apko dikhegi. matlab agar aap khush hain to dunia acche aur agar aap dukhi hain to dunia kharab dikhegi. lihaza hamesha khush rehna chahiye. jammu me aaj hi ke din amar ujala join kiya tha. mata vaishno devi k darshan karne k bad hari govind ji k pas gaya aur vahan se vikram chowk isthit amar ujala office. vahan us samay ravindra srivastava sampadak the. lekin mai pahle pradeep sir se mila. unse pahle mulakat. meri khuskismati the ki pahle unse mila. mere liye sammanniya hain. unse bahut kuch sikha hai. hari govind ji ne sanjeev mishra ji se milavaya. vahan dinesh vishwakarma je se bhi mulakat hui. hum 3 log ek sath rahne lage. suru me bahut kharab lag raha th. lekin bad me sab accha lagne laga. ghar ki bhi yad aate the. 3 sal jammu me rahne k dauran bahut se utar-chadav dekhe. bahut kuch sikha. ab dainik bhaskar me hun. yahan b maza aa raha hai.
kisi ne kya khub kaha hai zindagi tasveer b hai aur taqdeer b. manchahe rango se bane to tasveer, aur unchae rango se bane to taqdeer.
No comments:
Post a Comment